Shayari
us ek lamhe mein ai dost saath saath hain ham
vo ek lamha jo imkaan mein nahin aayaa
hasb-e-maa'mul ek moD pe aaj
der tak teraa intizaar huaa
حسب معمول ایک موڑ پہ آج
دیر تک تیرا انتظار ہوا
हस्ब-ए-मा'मूल एक मोड़ पे आज
देर तक तेरा इंतिज़ार हुआ

us ek lamhe mein ai dost saath saath hain ham
vo ek lamha jo imkaan mein nahin aayaa
ye soch kar vujud faraamosh kar diyaa
khud se milaa to teri tamanna karungaa main
main nahin jaantaa kahaan huun main
in dinon khud se raabta hi nahin
ik 'umr tere saath chalaa bhi to kyaa milaa
ab sochtaa huun tujh se bichhaD kar hi dekh luun
zard se sabz hotaa jaataa hai
ik shajar intizaar se niklaa
mujh mein ab meri jagah baaqi nahin
main tiri maujudgi se bhar gayaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
kuchh aisaa kar ki khuld aabaad tak ai 'shaad' jaa pahunchein
abhi tak raah mein vo kar rahe hain intizaar apnaa
ai saalik intizaar-e-haj mein kyaa tu hakka-bakkaa hai
bagule saa to kar le tauf dil pahlu mein makka hai
ai nur-e-jaan-o-dida tire intizaar mein
muddat hui palak suun palak aashnaa naiin
ye intizaar na Thahraa koi balaa Thahri
kisi ki jaan gai aap ki adaa Thahri