Shayari
jhuuT honTon pe bilaa-khauf-o-khatar aayaa hai
muddaton shahr mein rah kar ye hunar aayaa hai
dil toDne vaale ko khabar ho ki abhi main
sar-taa-ba-qadam ik dil-e-bimaar nahin huun
دل توڑنے والے کو خبر ہو کہ ابھی میں
سر تا بہ قدم اک دل بیمار نہیں ہوں
दिल तोड़ने वाले को ख़बर हो कि अभी मैं
सर-ता-ब-क़दम इक दिल-ए-बीमार नहीं हूँ

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil ke muaamale mein natije ki fikr kyaa
aage hai ishq jurm-o-sazaa ke maqaam se
khaal aur rukh se kis ko duun nisbat
aise taare na aisaa pyaaraa chaand
baar-haa yuun bhi huaa teri mohabbat ki qasam
jaan kar ham ne tujhe khud se khafaa rakkhaa hai