Shayari
lakirein khinchte rahne se ban gai tasvir
koi bhi kaam ho, be-kaar thoDi hotaa hai
is shahr-e-fusun-gar ke azaab aur, savaab aur
hijr aur tarah kaa hai, visaal aur tarah kaa
اس شہر فسوں گر کے عذاب اور، ثواب اور
ہجر اور طرح کا ہے، وصال اور طرح کا
इस शहर-ए-फ़ुसूँ-गर के अज़ाब और, सवाब और
हिज्र और तरह का है, विसाल और तरह का

lakirein khinchte rahne se ban gai tasvir
koi bhi kaam ho, be-kaar thoDi hotaa hai
haath chhuDaa kar jaane vaale
main tujh ko apnaa samjhaa thaa
munkashif! aaj talak ho na sakaa
main khalaa huun ki khalaa hai mujh mein
main ne tujh ko manzil jaanaa
tu mujh ko rasta samjhaa thaa
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamaare darmiyaan ye faasle, kaise nikal aae
ajab pur-lutf manzar dekhtaa rahtaa huun baarish mein
badan jaltaa hai aur main bhigtaa rahtaa huun baarish mein
ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr
masrur hain tiri khalish-e-naa-tavaan se ham
baad-e-shab-e-visaal na dekhun main daagh-e-hijr
yaa-rab charaagh-e-umr bujhaa de havaa-e-subh
shab-e-hijr yuun dil ko bahlaa rahe hain
ki din bhar ki biiti ko dohraa rahe hain
shaahid rahiyo tu ai shab-e-hijr
jhapki nahin aankh 'mushafi' ki
kab shab-e-vasl vo aayaa ki mire aur us ke
darmiyaan mein shab-e-hijraan kaa fasaana na rahaa
shab-e-hijraan jo mire ret pe aansu Tapke
hu-ba-hu yaar ki tasvir bani paai gai