Shayari
kashtiyaan mazbut sab bah jaaeingi sailaab mein
kaaghzi ik naav meri zaat ki rah jaaegi
hamaare daur ki taarikiyaan miTaane ko
sahaab-e-dard se khushiyon kaa chaand ubhraa hai
ہمارے دور کی تاریکیاں مٹانے کو
سحاب درد سے خوشیوں کا چاند ابھرا ہے
हमारे दौर की तारीकियाँ मिटाने को
सहाब-ए-दर्द से ख़ुशियों का चाँद उभरा है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ab kaargah-e-dahr mein lagtaa hai bahut dil
ai dost kahin ye bhi tiraa gham to nahin hai
ajiib dard kaa rishta hai saari duniyaa mein
kahin ho jaltaa makaan apnaa ghar lage hai mujhe
vaqt shaahid hai ki har daur mein iisaa ki tarah
ham salibon pe liye apni sadaaqat aae