Shayari
mire aur us ke biich ik dhund si maujud rahti hai
ye duniyaa aa rahi hai mere us ke darmiyaan shaayad
ye dil had se guzarnaa chaahtaa thaa
magar majbur ho kar rah gayaa hai
یہ دل حد سے گزرنا چاہتا تھا
مگر مجبور ہو کر رہ گیا ہے
ये दिल हद से गुज़रना चाहता था
मगर मजबूर हो कर रह गया है

mire aur us ke biich ik dhund si maujud rahti hai
ye duniyaa aa rahi hai mere us ke darmiyaan shaayad
badal liyaa hai zaraa khvaab ke ilaaqe ko
makaan ko chhoD ke ab laa-makaan mein rahtaa huun
sunaa rahi hai jise joD joD kar duniyaa
tamaam TukDe hain vo meri daastaan ke hi
mire sehan par khulaa aasmaan rahe ki main
use dhuup chhaanv mein baanTanaa nahin chaahtaa
jahaan tum ho vahaan se duur paDti hai zamin meri
jahaan main huun vahaan se aasmaan nazdik paDtaa hai
mujhe is khvaab ne ik arse tak be-taab rakkhaa hai
ik unchi chhat hai aur chhat par koi mahtaab rakkhaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
main jinhein dil pe khaae phirtaa huun
tire hisse ke ranj the maulaa
ishq tu bhi zaraa Tikaa le kamar
dil bhi ab so gayaa hai raat gae
milegaa ghair bhi un ke gale ba-shauq ai dil
halaal karne mujhe iid kaa hilaal aayaa
pi ke bairaag ki udaasi suun
dil pe mere sadaa udaasi hai