Shayari
bhanvar jab bhi kisi majbur kashti ko Dubotaa hai
to apni bebasi par duur se saahil taDaptaa hai
bahut dinon se mire baam-o-dar kaa hissa hai
miri tarah ye udaasi bhi ghar kaa hissa hai
بہت دنوں سے مرے بام و در کا حصہ ہے
مری طرح یہ اداسی بھی گھر کا حصہ ہے
बहुत दिनों से मिरे बाम-ओ-दर का हिस्सा है
मिरी तरह ये उदासी भी घर का हिस्सा है

bhanvar jab bhi kisi majbur kashti ko Dubotaa hai
to apni bebasi par duur se saahil taDaptaa hai
ye teraa taaj nahin hai hamaari pagDi hai
ye sar ke saath hi utregi sar kaa hissa hai
'shaad' itni baDh gai hain mere dil ki vahshatein
ab junun mein dasht aur ghar ek jaise ho gae
yahi qatre banaate hain kabhi to ghaas par moti
kabhi shabnam ko ye simaab mein tabdil karte hain
rafta rafta sab tasvirein dhundli hone lagti hain
kitne chehre ek puraane album mein mar jaate hain
ab andheron mein jo ham khauf-zada baiThe hain
kyaa kahein khud hi charaaghon ko bujhaa baiThe hain
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate