Shayari
rahi be-qaraari asiri ki yuun hi
to sayyaad TukDe tiraa daam hogaa
K
Khwaja Hasan 'Hasan'umanD ke aankh se ik baar bah chale aansu
hansi hansi mein jo zikr-e-vidaa-e-yaar aayaa
امنڈ کے آنکھ سے اک بار بہہ چلے آنسو
ہنسی ہنسی میں جو ذکر وداع یار آیا
उमँड के आँख से इक बार बह चले आँसू
हँसी हँसी में जो ज़िक्र-ए-विदा-ए-यार आया
rahi be-qaraari asiri ki yuun hi
to sayyaad TukDe tiraa daam hogaa
vo jab tak ki zulfein sanvaaraa kiyaa
khaDaa us pe main jaan vaaraa kiyaa
vaqt-e-nazzaara na ro kahte the ai chashm tujhe
shiddat-e-girya se le khaak na sujhaa, dekhaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
meri qismat mein gham gar itnaa thaa
dil bhi yaa-rab kai diye hote