Shayari
ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
siine se lipTo yaa galaa kaaTo
ham tumhaare hain dil tumhaaraa hai
سینے سے لپٹو یا گلا کاٹو
ہم تمہارے ہیں دل تمہارا ہے
सीने से लिपटो या गला काटो
हम तुम्हारे हैं दिल तुम्हारा है

ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
apni zabaan se mujhe jo chaahe kah lein aap
baDh baDh ke bolnaa nahin achchhaa raqib kaa
jab kahte hain ham karte ho kyuun vaada-khilaafi
farmaate hain hans kar ye nai baat nahin hai
us ne phir kar bhi na dekhaa main use dekhaa kiyaa
de diyaa dil raah chalte ko ye main ne kyaa kiyaa
mal rahe hain vo apne ghar mehndi
ham yahaan eDiyaan ragaDte hain
vahi shaagird phir ho jaate hain ustaad ai 'jauhar'
jo apne jaan-o-dil se khidmat-e-ustaad karte hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
dil ke bajaae kaise vo pahlu mein aa gayaa
ai shaikh-ji paDhaa ye sabaq kis kitaab mein
kamar baandho muqaddar ke sahaare baiThne vaalo
shikast-e-razm se raahon kaa pech-o-kham na badlegaa
bichhaDne vaalon mein ham jis se aashnaa kam the
na jaane dil ne use yaad kyuun ziyaada kiyaa