Shayari
ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
khudaa ke bharose pe chhoDi hai kashti
na girdaab dekhaa na tufaan jaanaa
خدا کے بھروسے پہ چھوڑی ہے کشتی
نہ گرداب دیکھا نہ طوفان جانا
ख़ुदा के भरोसे पे छोड़ी है कश्ती
न गिर्दाब देखा न तूफ़ान जाना

ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
miraa aanaa jahaan mein munhasir thaa tiin baaton par
jafaa sahnaa vafaa karnaa aur us ke baad mar jaanaa
parda hai ik baqaa kaa raaz-e-fanaa na puchho
mar kar bhi saath ham se chhuTaa na zindagi kaa
yuun manzar-e-hasti pe tiri chhaa gaiin aankhein
ik kaif saa har chiiz pe barsaa gaiin aankhein
yuun be-hijaab hain ki hain jaise hijaab mein
us bazm mein kisi ko majaal-e-nazar kahaan
ishq ki fitrat ne yuun badlaa mazaaq-e-zindagi
jitne gham baDhne lage utni khushi hone lagi
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
jahaan insaaniyat vahshat ke haathon zabh hoti ho
jahaan tazlil hai jiinaa vahaan behtar hai mar jaanaa
be-sabab 'raaghib' taDap uThtaa hai dil
dil ko samjhaanaa paDegaa Thiik se
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai