Shayari
jal gae phir se kuchh hasin rishte
tanziya guftugu ki bhaTTi mein
uThaao camera tasvir khinch lo in ki
udaas log kahaan roz muskuraate hain
اٹھاؤ کیمرا تصویر کھینچ لو ان کی
اداس لوگ کہاں روز مسکراتے ہیں
उठाओ कैमरा तस्वीर खींच लो इन की
उदास लोग कहाँ रोज़ मुस्कुराते हैं

jal gae phir se kuchh hasin rishte
tanziya guftugu ki bhaTTi mein
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
miyaan us shakhs se hoshiyaar rahnaa
sabhi se jhuk ke jo miltaa bahut hai
zindagi ek kahaani ke sivaa kuchh bhi nahin
log kirdaar nibhaate hue mar jaate hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo jis ghamanD se bichhDaa gila to is kaa hai
ki saari baat mohabbat mein rakh-rakhaav ki thi
gham-e-hasti kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
shama har rang mein jalti hai sahar hote tak
ai shokh gulistaan main nahin ye gul-e-rangin
aayaa dil-e-sad-chaak miraa rang badal kar