Shayari
aakhir ham ko be-zaari tak le aai
har shai par girvida rahne ki aadat
sunaa hai raat puure chaand ki hai
samundar shaam se bahkaa huaa hai
سنا ہے رات پورے چاند کی ہے
سمندر شام سے بہکا ہوا ہے
सुना है रात पूरे चाँद की है
समुंदर शाम से बहका हुआ है

aakhir ham ko be-zaari tak le aai
har shai par girvida rahne ki aadat
chand lakirein to is darja gahri thiin
dekhne vaalaa Duub gayaa tasviron mein
kitni ujlat mein miTaa Daalaa gayaa
aag mein sab kuchh jalaa Daalaa gayaa
baat karne kaa hasin taur-tariqa sikhaa
ham ne urdu ke bahaane se saliqa sikhaa
miri aavaargi hi mere hone ki alaamat hai
mujhe phir is safar ke baa'd bhi koi safar denaa
ab apnaa chehra begaana lagtaa hai
ham ko thi sanjida rahne ki aadat
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raat majlis mein tire husn ke shoale ke huzur
shama ke munh pe jo dekhaa to kahin nuur na thaa
sab munajjam kahte hain ab hai baraabar raat din
sar se paa tak dekh kar zulf-e-daraaz-e-yaar ko
phir chheDaa 'hasan' ne apnaa qissa
bas aaj ki shab bhi so chuke ham