Shayari
haalaat kyaa ye tere bichhaDne se ho gae
lagtaa hai jaise ham kisi mele mein kho gae
jo phaans chubh rahi hai dilon mein vo tu nikaal
jo paanv mein chubhi thi use ham nikaal aae
جو پھانس چبھ رہی ہے دلوں میں وہ تو نکال
جو پاؤں میں چبھی تھی اسے ہم نکال آئے
जो फाँस चुभ रही है दिलों में वो तू निकाल
जो पाँव में चुभी थी उसे हम निकाल आए

haalaat kyaa ye tere bichhaDne se ho gae
lagtaa hai jaise ham kisi mele mein kho gae
aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
barsaat ke mausam mein sitaare nikal aae
mujh se dilli ki nahin dil ki kahaani suniye
shahr to ye bhi kai baar luTaa hai mujh mein
jahaan jahaan koi urdu zabaan boltaa hai
vahin vahin miraa hindostaan boltaa hai
apni taarif suni hai to ye sach bhi sun le
tujh se achchhaa tiraa kirdaar nahin ho saktaa
shabnam ki jagah aag ki baarish ho magar ham
'mansur' na maangeinge duaa aur tarah ki
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
haal kyaa dil kaa hai izhaar se raushan hogaa
yaa'ni kirdaar to kirdaar se raushan hogaa
fareb-khurda hai itnaa ki mere dil ko abhi
tum aa chuke ho magar intizaar baaqi hai
rah-e-vafaa mein luTaa kar mataa-e-qalb-o-jigar
kiyaa hai teri mohabbat kaa haq adaa main ne
sabr-o-qaraar-e-dil mire jaane kahaan chale gae
bichhDe hue na phir mile aise hue judaa ki bas