Shayari
dehaat ke basne vaale to ikhlaas ke paikar hote hain
ai kaash nai tahzib ki rau shahron se na aati gaanv mein
rah-e-vafaa mein luTaa kar mataa-e-qalb-o-jigar
kiyaa hai teri mohabbat kaa haq adaa main ne
رہ وفا میں لٹا کر متاع قلب و جگر
کیا ہے تیری محبت کا حق ادا میں نے
रह-ए-वफ़ा में लुटा कर मता-ए-क़ल्ब-ओ-जिगर
किया है तेरी मोहब्बत का हक़ अदा मैं ने

dehaat ke basne vaale to ikhlaas ke paikar hote hain
ai kaash nai tahzib ki rau shahron se na aati gaanv mein
mire dil pe haath rakh kar mujhe dene vaale taskin
kahin dil ki dhaDkanon se tujhe choT aa na jaae
ek hi anjaam hai ai dost husn o ishq kaa
shama bhi bujhti hai parvaanon ke jal jaane ke baad
fareb-khurda hai itnaa ki mere dil ko abhi
tum aa chuke ho magar intizaar baaqi hai
mere kirdaar mein muzmar hai tumhaaraa kirdaar
dekh kar kyuun miri tasvir khafaa ho tum log
di us ne mujh ko jurm-e-mohabbat ki vo sazaa
kuchh be-qusur log sazaa maangne lage
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq vo chaar su safar hai jahaan
koi bhi raasta nahin ruktaa
aisaa kyaa 'ishq jo rusvaai 'ataa kar na sake
aisi kis kaam ki rusvaai ki shohrat bhi nahin
ik mohabbat ke sivaa aur na kuchh maangaa thaa
kyaa karein ye bhi zamaane ko gavaaraa na huaa
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai