Shayari
haalaat kyaa ye tere bichhaDne se ho gae
lagtaa hai jaise ham kisi mele mein kho gae
mujh se dilli ki nahin dil ki kahaani suniye
shahr to ye bhi kai baar luTaa hai mujh mein
مجھ سے دلی کی نہیں دل کی کہانی سنئے
شہر تو یہ بھی کئی بار لٹا ہے مجھ میں
मुझ से दिल्ली की नहीं दिल की कहानी सुनिए
शहर तो ये भी कई बार लुटा है मुझ में

haalaat kyaa ye tere bichhaDne se ho gae
lagtaa hai jaise ham kisi mele mein kho gae
aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
barsaat ke mausam mein sitaare nikal aae
jahaan jahaan koi urdu zabaan boltaa hai
vahin vahin miraa hindostaan boltaa hai
apni taarif suni hai to ye sach bhi sun le
tujh se achchhaa tiraa kirdaar nahin ho saktaa
pahle to us ki yaad ne sone nahin diyaa
phir us ki aahaTon ne kahaa jaagte raho
shabnam ki jagah aag ki baarish ho magar ham
'mansur' na maangeinge duaa aur tarah ki
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
dil ki tamannaa thi masti mein manzil se bhi duur nikalte
apnaa bhi koi saathi hotaa ham bhi bahakte chalte chalte
mujh se kahaa jibril-e-junun ne ye bhi vahi-e-ilaahi hai
mazhab to bas mazhab-e-dil hai baaqi sab gumraahi hai
fareb-e-saaqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'
sharaab ek hai badle hue hain paimaane