Shayari
bahut khaamosh rahtaa hai jo 'tanhaa'
vo mahfil mein baraabar boltaa hai
koi taaza lagaao zakhm dil par
puraani ye nishaani ho rahi hai
کوئی تازہ لگاؤ زخم دل پر
پرانی یہ نشانی ہو رہی ہے
कोई ताज़ा लगाओ ज़ख़्म दिल पर
पुरानी ये निशानी हो रही है

bahut khaamosh rahtaa hai jo 'tanhaa'
vo mahfil mein baraabar boltaa hai
bazm-e-yaaraan mein baiThtaa huun magar
meri jaanib harif dekhte hain
shahr mein raunaqein sahi 'tanhaa'
apne gaanv se mat kinaaraa kar
dost hi khubiyaan bataate hain
dost hi khaamiyaan nikaalte hain
ye tamaashaa sar-e-baazaar nahin ho saktaa
har koi meraa kharidaar nahin ho saktaa
yaadon ke qaafile mein udaasi thi ham-rikaab
hijrat mein tere shahr se 'tanhaa' nahin gae
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
qalb-o-jigar ke daagh farozaan kiye hue
hain ham bhi ehtimaam-e-bahaaraan kiye hue
vo dil bhi jalaate hain rakh dete hain marham bhi
kyaa turfa tabiat hai shola bhi hain shabnam bhi
be-khabar phuul ko bhi khinch ke patthar pe na maar
ki dil-e-sang mein khvaabida sanam hotaa hai
ham khudaa the gar na hotaa dil mein koi muddaaa
aarzuon ne hamaari ham ko banda kar diyaa