Shayari
tamaam raat tiraa intizaar hotaa rahaa
ye ek kaam yahi kaarobaar hotaa rahaa
qalb-o-jigar ke daagh farozaan kiye hue
hain ham bhi ehtimaam-e-bahaaraan kiye hue
قلب و جگر کے داغ فروزاں کئے ہوئے
ہیں ہم بھی اہتمام بہاراں کئے ہوئے
क़ल्ब-ओ-जिगर के दाग़ फ़रोज़ाँ किए हुए
हैं हम भी एहतिमाम-ए-बहाराँ किए हुए

tamaam raat tiraa intizaar hotaa rahaa
ye ek kaam yahi kaarobaar hotaa rahaa
dil ko jalaae rakkhaa hai ham ne charaagh saa
is ghar mein ham hain aur tiraa intizaar hai
tum na the to yahaan pe koi na thaa
aaj kitne divaane baiThe hain
us kaa jalva dikhaai detaa hai
saare chehron pe sab kitaabon mein
nashsha-e-yaar kaa nasha mat puchh
aisi masti kahaan sharaabon mein
tumhaare shahr mein kyuun aaj hu kaa aalam hai
sabaa idhar se guzar kar udhar gai ki nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui
naaz udhar dil ko uDaa lene ki ghaaton mein rahaa
main idhar chashm-e-sukhan-go tiri baaton mein rahaa
shaguftagi-e-dil-e-kaarvaan ko kyaa samjhe
vo ik nigaah jo uljhi hui bahaar mein hai
in dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
kaun jaae 'zauq' par dilli ki galiyaan chhoD kar