Shayari
ye soch kar vujud faraamosh kar diyaa
khud se milaa to teri tamanna karungaa main
us ek lamhe mein ai dost saath saath hain ham
vo ek lamha jo imkaan mein nahin aayaa
اس ایک لمحے میں اے دوست ساتھ ساتھ ہیں ہم
وہ ایک لمحہ جو امکان میں نہیں آیا
उस एक लम्हे में ऐ दोस्त साथ साथ हैं हम
वो एक लम्हा जो इम्कान में नहीं आया

ye soch kar vujud faraamosh kar diyaa
khud se milaa to teri tamanna karungaa main
main nahin jaantaa kahaan huun main
in dinon khud se raabta hi nahin
ik 'umr tere saath chalaa bhi to kyaa milaa
ab sochtaa huun tujh se bichhaD kar hi dekh luun
zard se sabz hotaa jaataa hai
ik shajar intizaar se niklaa
mujh mein ab meri jagah baaqi nahin
main tiri maujudgi se bhar gayaa
anginat naqsh banaa leinge ye naqqaash magar
husn mahtaab kaa mahtaab mein rah jaaegaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
mujhe rahnaa thaa tiri aankh mein aansu ki tarah
main to naakaam huun ai dost sitaara ban kar
naslein vahshi ho jaati hain yaar hifaazat karne mein
khush hone ki baat nahin hai sahraa ki sultaani par
khud apne gham hi se ki pahle dosti ham ne
aur us ke baa'd gham-e-dostaan ko pahchaanaa
agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat toD de
kabhi phir us se pyaar kaa khayaal bhi na aaegaa
mumkin hai ashk ban ke rahun chashm-e-yaar mein
mumkin hai bhuul jaae gham-e-rozgaar mein