Shayari
us ek lamhe mein ai dost saath saath hain ham
vo ek lamha jo imkaan mein nahin aayaa
main nahin jaantaa kahaan huun main
in dinon khud se raabta hi nahin
میں نہیں جانتا کہاں ہوں میں
ان دنوں خود سے رابطہ ہی نہیں
मैं नहीं जानता कहाँ हूँ मैं
इन दिनों ख़ुद से राब्ता ही नहीं

us ek lamhe mein ai dost saath saath hain ham
vo ek lamha jo imkaan mein nahin aayaa
ye soch kar vujud faraamosh kar diyaa
khud se milaa to teri tamanna karungaa main
ik 'umr tere saath chalaa bhi to kyaa milaa
ab sochtaa huun tujh se bichhaD kar hi dekh luun
zard se sabz hotaa jaataa hai
ik shajar intizaar se niklaa
mujh mein ab meri jagah baaqi nahin
main tiri maujudgi se bhar gayaa
anginat naqsh banaa leinge ye naqqaash magar
husn mahtaab kaa mahtaab mein rah jaaegaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
kai sitaaron ko main jaantaa huun bachpan se
kahin bhi jaaun mire saath saath chalte hain