Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vasl us kaa khudaa nasib kare
'mir' dil chaahtaa hai kyaa kyaa kuchh
وصل اس کا خدا نصیب کرے
میرؔ دل چاہتا ہے کیا کیا کچھ
vasl us kā ḳhudā nasīb kare
'mīr' dil chāhtā hai kyā kyā kuchh

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
'azfari' ghuncha-e-dil band aur aai hai bahaar
sair-e-gul ko ki ye shaayad ba-takalluf khil le
jab mile do dil mukhil phir kaun hai
baiTh jaao khud hayaa uTh jaaegi
ranjishein aisi hazaar aapas mein hoti hain dilaa
vo agar tujh se khafaa hai tu hi jaa mil kyaa huaa
taa-falak le gai betaabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahlaa hai ye ziinaa apnaa