Shayari
mohabbat is liye zaahir nahin ki
ki tum ko e'tibaar aae na aae
unhein haal-e-dil kis tarah likh ke bhejein
na ham un se vaaqif na vo ham se vaaqif
انہیں حال دل کس طرح لکھ کے بھیجیں
نہ ہم ان سے واقف نہ وہ ہم سے واقف
उन्हें हाल-ए-दिल किस तरह लिख के भेजें
न हम उन से वाक़िफ़ न वो हम से वाक़िफ़

mohabbat is liye zaahir nahin ki
ki tum ko e'tibaar aae na aae
naqsh hoti jaati hain laakhon buton ki suratein
kyaa ye dil bhi khitta-e-hindostaan ho jaaegaa
teri marzi gar isi mein hai ki ho didaar-e-aam
ham ne aankhon par qadam saare zamaane ke liye
shab-e-furqat hai Thaharte nahin shoale dil mein
taara TuuTaa ki miri aankh se aansu TuuTaa
misaal-e-charkh rahaa aasmaan sar-gardaan
par aaj tak na khulaa ye ki justuju kyaa hai
bataa tu dil ke bachaane ki koi raah bhi hai
tiri nigaah ki naavak-fagan panaah bhi hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
aur phir dil ne us ko chhoD diyaa
jab ta'alluq bahaal thaa hi nahin
gham ke rishton ko kabhi toD na denaa 'vaali'
gham khayaal-e-dil-e-naa-shaad bahut kartaa hai
shab ko miri chashm-e-hasrat kaa sab dard-e-dil un se kah jaanaa
daanton mein dabaa kar honT apnaa kuchh soch ke us kaa rah jaanaa