Shayari
zakhm kaari lagaa to chuum liyaa
qabza khanjar kaa haath qaatil kaa
M
Mirza Azam Ali Azamis liye chup hain ki koi nahin sunne vaalaa
varna kahne ko saraapaa lab-e-goyaa ham hain
اس لئے چپ ہیں کہ کوئی نہیں سننے والا
ورنہ کہنے کو سراپا لب گویا ہم ہیں
इस लिए चुप हैं कि कोई नहीं सुनने वाला
वर्ना कहने को सरापा लब-ए-गोया हम हैं
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
chupke se guzarte hain khabar bhi nahin hoti
din raat bhi kam-bakht javaani ki tarah hain
zamin ke aur taqaaze falak kuchh aur kahe
qalam bhi chup hai ki ab moD le kahaani kyaa
bachpan kitnaa pyaaraa thaa jab dil ko yaqin aa jaataa thaa
marte hain to ban jaate hain aasmaan ke taare log
'baaqi' jo chup rahoge to uTTheingi ungliyaan
hai bolnaa bhi rasm-e-jahaan bolte raho
ho gae chup hamein paagal kah kar
jab kisi ne bhi na samjhaa ham ko