Shayari
zakhm kaari lagaa to chuum liyaa
qabza khanjar kaa haath qaatil kaa
M
Mirza Azam Ali Azamzindagi bhar na yam-e-dida-e-giryaan Thahraa
kashti-e-umr Duboi to ye tufaan Thahraa
زندگی بھر نہ یم دیدۂ گریاں ٹھہرا
کشتیٔ عمر ڈبوئی تو یہ طوفاں ٹھہرا
ज़िंदगी भर न यम-ए-दीदा-ए-गिर्यां ठहरा
कश्ती-ए-उम्र डुबोई तो ये तूफ़ाँ ठहरा
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai