Shayari
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
agar hayaat hai dekheinge ek din didaar
ki maah-e-eid bhi aakhir hai in mahinon mein
اگر حیات ہے دیکھیں گے ایک دن دیدار
کہ ماہ عید بھی آخر ہے ان مہینوں میں
अगर हयात है देखेंगे एक दिन दीदार
कि माह-ए-ईद भी आख़िर है इन महीनों में

ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
na sikandar hai na daaraa hai na qaisar hai na jam
be-mahal khaak mein hain qasr banaane vaale
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qaarun ko bhi apnaa khazaanaa nahin miltaa
ai sanam vasl ki tadbiron se kyaa hotaa hai
vahi hotaa hai jo manzur-e-khudaa hotaa hai
angDaai donon haath uThaa kar jo us ne li
par lag gae paron ne pari ko uDaa diyaa
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aataa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
jis ko kahte hain arsa-e-hasti
tausan-e-umr ki hai ik sarpaT
tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se ham
Thukraa na dein jahaan ko kahin be-dili se ham
vahi kaarvaan vahi raaste vahi zindagi vahi marhale
magar apne apne maqaam par kabhi tum nahin kabhi ham nahin