Shayari
faqat milnaa-milaanaa kam huaa hai
hamaari dosti TuuTi nahin hai
ai mire munis o gham-khvaar mujhe marne de
baat ab hukm ki taamil tak aa pahunchi hai
اے مرے مونس و غم خوار مجھے مرنے دے
بات اب حکم کی تعمیل تک آ پہنچی ہے
ऐ मिरे मूनिस ओ ग़म-ख़्वार मुझे मरने दे
बात अब हुक्म की तामील तक आ पहुँची है

faqat milnaa-milaanaa kam huaa hai
hamaari dosti TuuTi nahin hai
khushnumaa manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yaar
jab dilon mein bhi utar jaati hai sahraaon ki khaak
ghaar vaalon ki tarah niklaa hai vo kamre se aaj
us ko is duniyaa ki tabdili kaa andaaza nahin
ik tabassum kaa bharam aabaad honTon par kiye
ji rahe hain log apni apni viraani ke saath
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sadiyon mein jaa ke bantaa hai aakhir mizaaj-e-dahr
'madni' koi taghayyur-e-aalam hai be-sabab
ik navaa-e-rafta ki baazgasht thi 'qaisi'
dil jise samajhte the dasht-e-be-sadaa niklaa
gham-e-uqbaa gham-e-dauraan gham-e-hasti ki qasam
aur bhi gham hain zamaane mein mohabbat ke sivaa