Shayari
tumhaari zaat se mansub hai divaangi meri
tumhin se ab miri divaangi dekhi nahin jaati
gham-e-uqbaa gham-e-dauraan gham-e-hasti ki qasam
aur bhi gham hain zamaane mein mohabbat ke sivaa
غم عقبیٰ غم دوراں غم ہستی کی قسم
اور بھی غم ہیں زمانے میں محبت کے سوا
ग़म-ए-उक़्बा ग़म-ए-दौराँ ग़म-ए-हस्ती की क़सम
और भी ग़म हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा

tumhaari zaat se mansub hai divaangi meri
tumhin se ab miri divaangi dekhi nahin jaati
kaise mumkin hai ki ham donon bichhaD jaaeinge
itni gahraai se har baat ko sochaa na karo
jahaan mein ham jise bhi pyaar ke qaabil samajhte hain
haqiqat mein usi ko ziist kaa haasil samajhte hain
tum pe ilzaam na aa jaae safar mein koi
raasta kitnaa hi dushvaar ho Thahraa na karo
dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke sivaa
sab fasaane hain haqiqat mein haqiqat ke sivaa
ik vaqt thaa ki dil ko sukun ki talaash thi
aur ab ye aarzu hai ki dard-e-nihaan rahe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa