Shayari
ik dandanaati rail si umrein guzar gaiin
do pTriyon ke beach vahi faasle rahe
rahbar bhi ye hamdam bhi ye gham-khvaar hamaare
ustaad ye qaumon ke hain meamaar hamaare
رہبر بھی یہ ہمدم بھی یہ غم خوار ہمارے
استاد یہ قوموں کے ہیں معمار ہمارے
रहबर भी ये हमदम भी ये ग़म-ख़्वार हमारे
उस्ताद ये क़ौमों के हैं मे'मार हमारे

ik dandanaati rail si umrein guzar gaiin
do pTriyon ke beach vahi faasle rahe
mahak uThi hai fazaa pairahan ki khushbu se
chaman dilon kaa khilaane ko eid aai hai
ai jaate baras tujh ko saunpaa khudaa ko
mubaarak mubaarak nayaa saal sab ko
aab-dida huun main khud zakhm-e-jigar se apne
teri aankhon mein chhupaa dard kahaan se dekhun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin