Shayari
rahbar bhi ye hamdam bhi ye gham-khvaar hamaare
ustaad ye qaumon ke hain meamaar hamaare
mahak uThi hai fazaa pairahan ki khushbu se
chaman dilon kaa khilaane ko eid aai hai
مہک اٹھی ہے فضا پیرہن کی خوشبو سے
چمن دلوں کا کھلانے کو عید آئی ہے
महक उठी है फ़ज़ा पैरहन की ख़ुशबू से
चमन दिलों का खिलाने को ईद आई है

rahbar bhi ye hamdam bhi ye gham-khvaar hamaare
ustaad ye qaumon ke hain meamaar hamaare
ik dandanaati rail si umrein guzar gaiin
do pTriyon ke beach vahi faasle rahe
ai jaate baras tujh ko saunpaa khudaa ko
mubaarak mubaarak nayaa saal sab ko
aab-dida huun main khud zakhm-e-jigar se apne
teri aankhon mein chhupaa dard kahaan se dekhun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
ye kaisi jagah hai ki dil kho rahaa hai
bayaabaan hai sahraa hai gulshan hai kyaa hai
dilon mein nuur hai tarsil-e-gosh-e-kar bhi ho
payaam jaate nahin tarz-e-lan-taraani mein
dil-e-fasurda mein kuchh soz o saaz baaqi hai
vo aag bujh gai lekin gudaaz baaqi hai