Shayari
kaun apnaa hai yahaan kaun paraayaa kahiye
kaun detaa hai bhalaa dukh mein sahaaraa kahiye
har ek shaam sanvar jaaegi miri 'mohsin'
har ek baat tumhaari hai shaairi ki tarah
ہر ایک شام سنور جائے گی مری محسنؔ
ہر ایک بات تمہاری ہے شاعری کی طرح
हर एक शाम सँवर जाएगी मिरी 'मोहसिन'
हर एक बात तुम्हारी है शाइ'री की तरह

kaun apnaa hai yahaan kaun paraayaa kahiye
kaun detaa hai bhalaa dukh mein sahaaraa kahiye
main chaahtaa huun tumhein apni zindagi ki tarah
mire vajud pe chhaa jaao chaandni ki tarah
afsaana dard-o-gham kaa sunaayaa na jaaegaa
ab zakhm-e-dil kisi ko dikhaayaa na jaaegaa
itne fareb khaae hain qurbat mein yaar ki
'mohsin' fareb aur bhi khaayaa na jaaegaa
nahin hai paas kisi kaa kisi ko ai 'mohsin'
ki aazmaa ki unhein baar baar dekhaa hai
zindagi TuuT ke bikhri hai sar-e-raah abhi
haadisa kahiye ise yaa ki tamaashaa kahiye
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
khaak-e-sahraa-e-junun narm hai resham ki tarah
aabla hai na koi aabla-paa mere baad