Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
har qadam raah mein milte hain shanaasaa chehre
har qadam raah mein milti hai nai tanhaai
ہر قدم راہ میں ملتے ہیں شناسا چہرے
ہر قدم راہ میں ملتی ہے نئی تنہائی
हर क़दम राह में मिलते हैं शनासा चेहरे
हर क़दम राह में मिलती है नई तन्हाई

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye to maalum hai un tak na sadaa pahunchegi
jaane kyaa soch ke aavaaz diye jaataa huun
yuun baaghbaan ne mohr lagaa di zabaan par
rudaad-e-gham nasib ke maare na kah sake
mataa-e-gham mire ashkon hi tak nahin mahdud
inhin mein TuuTe sitaaron ko bhi shumaar karo