Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
kaun kahtaa hai mohabbat kaa safar hai aasaan
kuchh na kuchh to yahaan ilzaam saa rah jaataa hai
کون کہتا ہے محبت کا سفر ہے آسان
کچھ نہ کچھ تو یہاں الزام سا رہ جاتا ہے
कौन कहता है मोहब्बत का सफ़र है आसान
कुछ न कुछ तो यहाँ इल्ज़ाम सा रह जाता है

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aaghaaz-e-mohabbat kaa anjaam bas itnaa hai
jab dil mein tamannaa thi ab dil hi tamannaa hai
kyaa husn ne samjhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham khaak-nashinon ki Thokar mein zamaanaa hai
ishq jab tak na kar chuke rusvaa
aadmi kaam kaa nahin hotaa