Shayari
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
aaghaaz-e-mohabbat kaa anjaam bas itnaa hai
jab dil mein tamannaa thi ab dil hi tamannaa hai
آغاز محبت کا انجام بس اتنا ہے
جب دل میں تمنا تھی اب دل ہی تمنا ہے
आग़ाज़-ए-मोहब्बत का अंजाम बस इतना है
जब दिल में तमन्ना थी अब दिल ही तमन्ना है

sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
banaate hain hazaaron zakhm-e-khandaan khanjar-e-gham se
dil-e-naashaad ko ham is tarah pur-shaad karte hain
ye kah ke us ne mujhe makhmase mein Daal diyaa
milaao haath agar vaaqai mohabbat hai
bahut dushvaar thi raah-e-mohabbat
hamaaraa saath dete ham-safar kyaa