Shayari
raaz-e-nihaan zabaan-e-aghyaar tak na pahunchaa
kyaa ek bhi hamaaraa khat yaar tak na pahunchaa
soz-e-gham se ashk kaa ek ek qatra jal gayaa
aag paani mein lagi aisi ki dariyaa jal gayaa
سوز غم سے اشک کا ایک ایک قطرہ جل گیا
آگ پانی میں لگی ایسی کہ دریا جل گیا
सोज़-ए-ग़म से अश्क का एक एक क़तरा जल गया
आग पानी में लगी ऐसी कि दरिया जल गया

raaz-e-nihaan zabaan-e-aghyaar tak na pahunchaa
kyaa ek bhi hamaaraa khat yaar tak na pahunchaa
kuchh qafas mein in dinon lagtaa hai ji
aashiyaan apnaa huaa barbaad kyaa
shab jo masjid mein jaa phanse 'momin'
raat kaaTi khudaa khudaa kar ke
tu kahaan jaaegi kuchh apnaa Thikaana kar le
ham to kal khvaab-e-adam mein shab-e-hijraan honge
na maanungaa nasihat par na suntaa main to kyaa kartaa
ki har har baat mein naaseh tumhaaraa naam letaa thaa
vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tufaan-e-gham ki tund havaaon ke baavajud
ik sham-e-aarzu hai jo ab tak bujhi nahin
ye soch kar bhi hans na sake ham shikasta-dil
yaaraan-e-gham-gusaar kaa dil TuuT jaaegaa