Shayari
mar gai band lifaafe mein mohabbat meri
sirf usi ne na paDhe jis ko paDhaane the khat
kyaa karein bolti in aankhon kaa
haal dil kaa chhupaa nahin sakte
کیا کریں بولتی ان آنکھوں کا
حال دل کا چھپا نہیں سکتے
क्या करें बोलती इन आँखों का
हाल दिल का छुपा नहीं सकते

mar gai band lifaafe mein mohabbat meri
sirf usi ne na paDhe jis ko paDhaane the khat
tujhe itnaa to dekhaa bhi nahin hai
tujhe ham yaad jitnaa kar rahe hain
vasl ke din gine hain ungli par
hijr kaa koi bhi hisaab nahin
chun liyaa hai tumhein miraa mahbub
dusraa koi intikhaab nahin
hijr kaa dukh nahin rahaa hamein ab
hai ye dukh ab koi azaab nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
ye soch kar tiri mahfil se ham chale aae
ki ek baar to baDh jaae hausla dil kaa
is tarah kuchh badal gai hai zamin
ham ko ab khauf-e-aasmaan na rahaa
tum zamaane ki raah se aae
varna sidhaa thaa raasta dil kaa