Shayari
mar gai band lifaafe mein mohabbat meri
sirf usi ne na paDhe jis ko paDhaane the khat
tujhe itnaa to dekhaa bhi nahin hai
tujhe ham yaad jitnaa kar rahe hain
تجھے اتنا تو دیکھا بھی نہیں ہے
تجھے ہم یاد جتنا کر رہے ہیں
तुझे इतना तो देखा भी नहीं है
तुझे हम याद जितना कर रहे हैं

mar gai band lifaafe mein mohabbat meri
sirf usi ne na paDhe jis ko paDhaane the khat
vasl ke din gine hain ungli par
hijr kaa koi bhi hisaab nahin
chun liyaa hai tumhein miraa mahbub
dusraa koi intikhaab nahin
kyaa karein bolti in aankhon kaa
haal dil kaa chhupaa nahin sakte
hijr kaa dukh nahin rahaa hamein ab
hai ye dukh ab koi azaab nahin
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kisi sayyaad ki paD jaae na chiDiyaa pe nazar
aap sarkaaein na mahram se dupaTTaa apnaa
tujh ko bhi kyuun yaad rakhaa
soch ke ab pachhtaate hain
tum apne Thor-Thikaanon ko yaad rakkho 'saaz'
hamaaraa kyaa hai ki ham to kahin bhi rahte hain
jal uThein yaadon ki qindilein sadaaein Duub jaaein
dar-haqiqat khaamushi sahraa bhi hai dariyaa bhi hai