Shayari
aah vo aankhein ravaan dariyaa hain aur aisaa ki bas
Duub kar achchhe-bhale tairaak ho jaate hain ham
aap jaam-e-tishnagi bhar dijiye aghyaar kaa
aur yuun kiije hamein auron se kam de dijiye
آپ جام تشنگی بھر دیجیے اغیار کا
اور یوں کیجے ہمیں اوروں سے کم دے دیجیے
आप जाम-ए-तिश्नगी भर दीजिए अग़्यार का
और यूँ कीजे हमें औरों से कम दे दीजिए

aah vo aankhein ravaan dariyaa hain aur aisaa ki bas
Duub kar achchhe-bhale tairaak ho jaate hain ham
khaak se tabdil ho kar aab ho jaate hain ham
us badan-dariyaa mein jab gharqaab ho jaate hain ham
rozgaar-e-‘ishq bhi ik kaam hai lekin huzur
aap apne ghar kaa ik darbaan kar diije mujhe
miTTi ki taa'zim karo to aur takabbur karti hai
kankar patthar jaise aadam-zaad khudaa ho jaate hain
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin