Shayari
miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
tumhaaraa naam aayaa aur ham takne lage rasta
tumhaari yaad aai aur khiDki khol di ham ne
تمہارا نام آیا اور ہم تکنے لگے رستہ
تمہاری یاد آئی اور کھڑکی کھول دی ہم نے
तुम्हारा नाम आया और हम तकने लगे रस्ता
तुम्हारी याद आई और खिड़की खोल दी हम ने

miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
ab aap ki marzi hai sambhaalein na sambhaalein
khushbu ki tarah aap ke rumaal mein ham hain
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
kuchh nahin hogaa to aanchal mein chhupaa legi mujhe
maan kabhi sar pe khuli chhat nahin rahne degi
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khulaa chhoD diyaa thaa
ye soch ke maan baap ki khidmat mein lagaa huun
is peD kaa saayaa mire bachchon ko milegaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ab tujhe meraa naam yaad nahin
jab ki teraa pataa rahaa huun main
sun ke rudaad-e-alam meri vo hans kar bole
aur bhi koi fasaana hai tumhein yaad ki bas
yaadon ki mahfil mein kho kar
dil apnaa tanhaa tanhaa hai
kisi ke sitam is qadar yaad aae
zabaan thak gai mehrbaan kahte kahte