Shayari
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
kisi akeli shaam ki chup mein
giit puraane gaa ke dekho
کسی اکیلی شام کی چپ میں
گیت پرانے گا کے دیکھو
किसी अकेली शाम की चुप में
गीत पुराने गा के देखो

meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
sar-e-shaam luT chukaa huun sar-e-aam luT chukaa huun
ki Dakait ban chuke hain kai shahr ke sipaahi
kahti hai ye shaam ki narm havaa phir mahkegi is ghar ki fazaa
nayaa kamra sajaa nai shama jalaa tire chaahne vaale aur bhi hain