Shayari
khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
jaam-e-aqiq zard hai nargis ke haath mein
taqsim kar rahaa hai mai-e-arghavaan basant
جام عقیق زرد ہے نرگس کے ہاتھ میں
تقسیم کر رہا ہے مے ارغواں بسنت
जाम-ए-अक़ीक़ ज़र्द है नर्गिस के हाथ में
तक़्सीम कर रहा है मय-ए-अर्ग़वाँ बसंत

khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-aashiqaan
vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
jis roz main gintaa huun tire aane ki ghaDiyaan
suraj ko banaa deti hai sone ki ghaDi baat
haath milvaate ho tarsaae gilauri ke liye
kaf-e-afsos na mal jaae kahin paanv mein
jab kabhi maski kaTori kyaa sadaa paidaa hui
karti hai angiyaa ki chiDiyaa chahchahaane ki havas
ho gayaa maamur aalam jab kiyaa darbaar-e-aam
takhliya chaahaa to duniyaa saaf khaali ho gai
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
shaikh ki daavat mein mai kaa kaam kyaa
ehtiyaatan kuchh mangaa li jaaegi
zakhm ye vasl ke marham se bhi shaayad na bhare
hijr mein aisi mili ab ke masaafat ham ko
vo mujh ko pilaaein jo kabhi haath se apne
phir jaam hi kyaa zahr bhi pi jaaun khushi se
jalva o dil mein farq nahin jalve ko hi ab dil kahte hain
yaani ishq ki hasti kaa aaghaaz to hai anjaam nahin