Shayari
khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
shaikh ki daavat mein mai kaa kaam kyaa
ehtiyaatan kuchh mangaa li jaaegi
شیخ کی دعوت میں مے کا کام کیا
احتیاطاً کچھ منگا لی جائے گی
शैख़ की दावत में मय का काम क्या
एहतियातन कुछ मँगा ली जाएगी

khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasinon ko bhi kitnaa sahl hai bijli giraa denaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
dard ki chaah mein pahle to kuredun shab-bhar
phir usi zakhm ko siine kaa mazaa letaa huun
baDhaai mai jo mohabbat se aaj saaqi ne
ye kaanpe haath ki saaghar bhi ham uThaa na sake
raaste shahr ke sab band hue hain tum par
ghar se nikaloge to 'makhmur' kidhar jaaoge