Shayari
ahd ke baa'd liye bose dahan ke itne
ki lab-e-zud-pashimaan ko mukarne na diyaa
dil-lagi mein hasrat-e-dil kuchh nikal jaati to hai
bose le lete hain ham do-chaar hanste bolte
دل لگی میں حسرت دل کچھ نکل جاتی تو ہے
بوسے لے لیتے ہیں ہم دو چار ہنستے بولتے
दिल-लगी में हसरत-ए-दिल कुछ निकल जाती तो है
बोसे ले लेते हैं हम दो-चार हँसते बोलते

ahd ke baa'd liye bose dahan ke itne
ki lab-e-zud-pashimaan ko mukarne na diyaa
ham ne paalaa muddaton pahlu mein ham koi nahin
tum ne dekhaa ik nazar se dil tumhaaraa ho gayaa
subh hoti hai shaam hoti hai
umr yunhi tamaam hoti hai
aas kyaa ab to umid-e-naa-ummidi bhi nahin
kaun de mujh ko tasalli kaun bahlaae mujhe
taDapti dekhtaa huun jab koi shai
uThaa letaa huun apnaa dil samajh kar
kyaa khabar mujh ko khizaan kyaa chiiz hai kaisi bahaar
aankhein kholin aa ke main ne khaana-e-sayyaad mein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai