Shayari
tujh se vaaqif hai ik jahaan 'nayyar'
kyaa zarurat hai khud-numaai ki
dil liyaa aur bevafaai ki
daad detaa huun dilrubaai ki
دل لیا اور بے وفائی کی
داد دیتا ہوں دل ربائی کی
दिल लिया और बेवफ़ाई की
दाद देता हूँ दिलरुबाई की

aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
chaman ke rang-o-bu ne is qadar dhokaa diyaa mujh ko
ki main ne shauq-e-gul-bosi mein kaanTon par zabaan rakh di
in hi kaa naam mohabbat in hi kaa naam junun
miri nigaah ke dhoke tiri nazar ke fareb
karam par bhi hotaa hai dhokaa sitam kaa
yahaan tak alam-aashnaa ho gae ham
baa-vafaa thaa to mujhe puchhne vaale bhi na the
be-vafaa huun to huaa naam bhi ghar ghar meraa