Shayari
qadam uThaae hain ham ne bhi is yaqin ke saath
jahaan se guzreinge ham teri rahguzar hogi
pyaar karne vaalon kaa sirf ek sahraa hai
saare shahr us ke hain saari bastiyaan us ki
پیار کرنے والوں کا صرف ایک صحرا ہے
سارے شہر اس کے ہیں ساری بستیاں اس کی
प्यार करने वालों का सिर्फ़ एक सहरा है
सारे शहर उस के हैं सारी बस्तियाँ उस की

qadam uThaae hain ham ne bhi is yaqin ke saath
jahaan se guzreinge ham teri rahguzar hogi
shahr ki bhiiD mein aankhein jise kho deti hain
dil ke aangan mein vahi shakhs khaDaa hotaa hai
na guftugu mein tasalli na khaamushi mein sadaa
suluk-e-dost kaa andaaz hi niraalaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiaat samajh
maza to ishq kaa tab hai ki ek pal ko sahi
jhuki nazar vo uThaa dein aur main salaam karun
ek hi din milaa mohabbat ko
saal bhar ki thakan utaari gai
sach hai ki mohabbat mein nahin koi kisi kaa
paighaam zamaane ko main detaa huun khushi kaa