Shayari
qadam uThaae hain ham ne bhi is yaqin ke saath
jahaan se guzreinge ham teri rahguzar hogi
na guftugu mein tasalli na khaamushi mein sadaa
suluk-e-dost kaa andaaz hi niraalaa hai
نہ گفتگو میں تسلی نہ خامشی میں صدا
سلوک دوست کا انداز ہی نرالا ہے
न गुफ़्तुगू में तसल्ली न ख़ामुशी में सदा
सुलूक-ए-दोस्त का अंदाज़ ही निराला है

qadam uThaae hain ham ne bhi is yaqin ke saath
jahaan se guzreinge ham teri rahguzar hogi
shahr ki bhiiD mein aankhein jise kho deti hain
dil ke aangan mein vahi shakhs khaDaa hotaa hai
pyaar karne vaalon kaa sirf ek sahraa hai
saare shahr us ke hain saari bastiyaan us ki
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
sone se jaagne kaa ta'alluq na thaa koi
saDkon pe apne khvaab liye bhaagte rahe
dekhaa na tujhe ai rab ham ne haan duniyaa teri dekhi hai
saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla naari bhi
mire mah o saal ki kahaani ki dusri qist is tarah hai
junun ne rusvaaiyaan likhi thiin khirad ne tanhaaiyaan likhi hain