Shayari
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
bahaknaa meri fitrat mein nahin par
sambhalne mein pareshaani bahut hai
بہکنا میری فطرت میں نہیں پر
سنبھلنے میں پریشانی بہت ہے
बहकना मेरी फ़ितरत में नहीं पर
सँभलने में परेशानी बहुत है

ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
rah-guzar kaa hai taqaazaa ki abhi aur chalo
ek ummid jo manzil ke nishaan tak pahunchi
kashtiyaan likhti rahein roz kahaani apni
mauj kahti hi rahi zer-o-zabar main hi huun
khudaa bhi kaisaa huaa khush mire qarine par
mujhe shahid kaa darja milaa hai jiine par
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz khudaa-daad nahin
tah mein dariyaa-e-mohabbat ke thi kyaa chiiz 'aziz'
jo koi Duub gayaa us ko ubharne na diyaa
tum agar chaaho to miTTi se abhi paidaa hon phuul
main agar maangun to dariyaa bhi na de paani mujhe
kahin na thaa vo dariyaa jis kaa saahil thaa main
aankh khuli to ik sahraa ke muqaabil thaa main
paani mein aks aur kisi aasmaan kaa hai
ye naav kaun si hai ye dariyaa kahaan kaa hai