Shayari
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
khudaa bhi kaisaa huaa khush mire qarine par
mujhe shahid kaa darja milaa hai jiine par
خدا بھی کیسا ہوا خوش مرے قرینے پر
مجھے شہید کا درجہ ملا ہے جینے پر
ख़ुदा भी कैसा हुआ ख़ुश मिरे क़रीने पर
मुझे शहीद का दर्जा मिला है जीने पर

ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
rah-guzar kaa hai taqaazaa ki abhi aur chalo
ek ummid jo manzil ke nishaan tak pahunchi
kashtiyaan likhti rahein roz kahaani apni
mauj kahti hi rahi zer-o-zabar main hi huun
bahaknaa meri fitrat mein nahin par
sambhalne mein pareshaani bahut hai
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
'munir' is mulk par aaseb kaa saaya hai yaa kyaa hai
ki harkat tez-tar hai aur safar aahista aahista
gar Thahre malak aage unhon ke to ajab hai
phirte hain paDe dilli ke launDe jo pari se
ye savaad-e-shahr aur aisaa kahaan husn-e-malih
shash-jihat mein mulk dekhaa hi nahin punjab saa
dayaar-e-ghair mein luTte to koi baat na thi
luTe vatan mein to sadma huaa na jaane kyuun
ham ahl-e-qafas tanhaa bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-vatan
yaadon se moattar aati hai ashkon se munavvar jaati hai