Shayari
tu hi vo phuul hai jo hai mahbub
patte patte kaa Daali Daali kaa
bhare rahte hain ashk aankhon mein har dam
miri har saans mein ab gham ki bu hai
بھرے رہتے ہیں اشک آنکھوں میں ہر دم
مری ہر سانس میں اب غم کی بو ہے
भरे रहते हैं अश्क आँखों में हर दम
मिरी हर साँस में अब ग़म की बू है

tu hi vo phuul hai jo hai mahbub
patte patte kaa Daali Daali kaa
nang hai raaz-e-mohabbat kaa numaayaan honaa
mar bhi jaaun main agar tum na pareshaan honaa
rahmat-e-haq ko na kar maayus apne feal se
vo bhalaai mein nahin jo hai buraai mein mazaa
ham dil fidaa karein ki tasadduq-e-jigar karein
jo bhi kahein huzur vahi umr bhar karein
matlab kaa zamaana hai 'naadir' koi kyaa degaa
mujh sokhta-e-qismat ko degaa to khudaa degaa
phuul khulte hi titli bhi aai
kyaa koi dosti puraani hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kahun kis se main ki kyaa hai shab-e-gham buri balaa hai
mujhe kyaa buraa thaa marnaa agar ek baar hotaa
jo khushaamad kare khalq us se sadaa raazi hai
sach to ye hai ki khushaamad se khudaa raazi hai
letaa huun maktab-e-gham-e-dil mein sabaq hanuz
lekin yahi ki raft gayaa aur buud thaa