Shayari
bhare rahte hain ashk aankhon mein har dam
miri har saans mein ab gham ki bu hai
tu hi vo phuul hai jo hai mahbub
patte patte kaa Daali Daali kaa
تو ہی وہ پھول ہے جو ہے محبوب
پتے پتے کا ڈالی ڈالی کا
तू ही वो फूल है जो है महबूब
पत्ते पत्ते का डाली डाली का

bhare rahte hain ashk aankhon mein har dam
miri har saans mein ab gham ki bu hai
nang hai raaz-e-mohabbat kaa numaayaan honaa
mar bhi jaaun main agar tum na pareshaan honaa
rahmat-e-haq ko na kar maayus apne feal se
vo bhalaai mein nahin jo hai buraai mein mazaa
ham dil fidaa karein ki tasadduq-e-jigar karein
jo bhi kahein huzur vahi umr bhar karein
matlab kaa zamaana hai 'naadir' koi kyaa degaa
mujh sokhta-e-qismat ko degaa to khudaa degaa
phuul khulte hi titli bhi aai
kyaa koi dosti puraani hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
aap ki to jild baaji ho rahi hai ab kharaab
main karungi facial ban jaaegi taaza gulaab
ban gae insaan apni zaat mein jangal 'munir'
bastiyon se uD gai hai bu-e-aadam-zaad tak