Shayari
harfon ke mile joD baDhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand mein bakhiya hai qalam kaa
pyaar se dushman ke vo aalam tiraa jaataa rahaa
aise lab chuse ki boson kaa mazaa jaataa rahaa
پیار سے دشمن کے وہ عالم ترا جاتا رہا
ایسے لب چوسے کہ بوسوں کا مزا جاتا رہا
प्यार से दुश्मन के वो आलम तिरा जाता रहा
ऐसे लब चूसे कि बोसों का मज़ा जाता रहा

harfon ke mile joD baDhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand mein bakhiya hai qalam kaa
tasadduq hone vaale pis na jaaein
uThaae haath se daaman ko chaliye
allaah re taraddud-e-khaatir ki kasratein
tuuda banaa diyaa mujhe gard-e-malaal kaa
husn-e-barahnagi ke uThaate baDe maze
hotaa na ruuh ko jo libaas-e-badan hijaab
ek se do daagh do se chaar phir to saikDon
khilte khilte phuul siine par gulistaan ho gayaa
matlab hai miraa aariz-e-pur-nur kaa jalva
aashiq huun tiraa naam ko banda huun khudaa kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
saamne us ke na kahte magar ab kahte hain
lazzat-e-ishq gai ghair ke mar jaane se
ishq hai ahd-e-javaani ke liye
ahd-e-piri ke taqaaze aur hain
is se baDh kar aur kyaa hai saada-lauhi ishq ki
aap ne vaada kiyaa aur ham ko baavar ho gayaa
meri betaabi ki mushkil aap aasaan ho gai
baDh gayaa dard-e-dil-e-betaab to kam ho gayaa