Shayari
sar-e-mahshar agar pursish hui mujh se to kah dungaa
saraapaa jurm huun ashk-e-nadaamat le ke aayaa huun
tanhaai ke lamhaat kaa ehsaas huaa hai
jab taaron bhari raat kaa ehsaas huaa hai
تنہائی کے لمحات کا احساس ہوا ہے
جب تاروں بھری رات کا احساس ہوا ہے
तन्हाई के लम्हात का एहसास हुआ है
जब तारों भरी रात का एहसास हुआ है

sar-e-mahshar agar pursish hui mujh se to kah dungaa
saraapaa jurm huun ashk-e-nadaamat le ke aayaa huun
main ne maanaa aap ne sab kuchh bhulaa Daalaa magar
ghair-mumkin hai kabhi meraa khayaal aataa na ho
vo zulm bhi ab zulm ki had tak nahin karte
aakhir unhein kis baat kaa ehsaas huaa hai
kisi ke ishq mein ye haal-e-zaar rahtaa hai
sukun paa ke bhi dil be-qaraar rahtaa hai
kuchh khud bhi huun main ishq mein afsurda o ghamgin
kuchh talkhi-e-haalaat kaa ehsaas huaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
in talkh aansuon ko na yuun munh banaa ke pi
ye mai hai khud-kashid ise muskuraa ke pi
aur to paas mire hijr mein kyaa rakkhaa hai
ik tire dard ko pahlu mein chhupaa rakkhaa hai
chupke chupke raat din aansu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqi kaa vo zamaanaa yaad hai