Shayari
dariyaa pe Tikri se pare khaanqaah thi
tab tere mere pyaar ki duniyaa gavaah thi
shaah-balut ke uupar dekh
chaand dharaa hai thaali par
شاہ بلوط کے اوپر دیکھ
چاند دھرا ہے تھالی پر
शाह-बलूत के ऊपर देख
चाँद धरा है थाली पर

dariyaa pe Tikri se pare khaanqaah thi
tab tere mere pyaar ki duniyaa gavaah thi
dekhaa qad-e-gunaah pe jab is ko multafit
baDh kar had-e-nigaah lagi us ko Dhaanpne
yaad aae tu mujh ko bahut jab shab kaTe jab pau phaTe
jab vaadiyon mein duur tak kohraa dikhe be-ant saa
khile dhaan khilkhilaa kar paDe naddiyon mein naake
ghani khushbuon se mahke mire des ke ilaaqe
hijraton mein huzuriyon ke jatan
paanv ko duriyon ne gheraa hai
ek kaaTaa raam ne siitaa ke saath
dusraa ban boss mere naam par
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
yakka ulaT ke rah gayaa ghoDaa bhaDak gayaa
kaali saDak pe chaand saa chehra chamak gayaa
chaand suraj ki tarah tum bhi ho qudrat kaa khel
jaise ho vaise raho bannaa bigaDnaa chhoDo
na chaand kaa na sitaaron na aaftaab kaa hai
savaal ab ke miri jaan tire javaab kaa hai
yaqin chaand pe suraj mein e'tibaar bhi rakh
magar nigaah mein thoDaa saa intizaar bhi rakh
rang badlaa yaar ne vo pyaar ki baatein gaiin
vo mulaaqaatein gaiin vo chaandni raatein gaiin